Nojoto: Largest Storytelling Platform

raat ki chandni me pal rahi umeed ki aasha ki bhor

raat ki chandni me pal rahi umeed ki aasha
ki bhor hoga jaldi aur kal ka din hoga sunehra
nirash chat par baitha mujhe dekh kar chand ne  mujhse kaha nirash mat ho chal tujhe ek baat batata hu
sabne meri khubsurati dekha
lekin andhere k saath mera sangharsh kisi ne dekha
raat me bhi iss jag ko mai prakashit karta hu 
amavas purnima k chakravyuh me uljha rehta hu
jab puri duniya so rahi tab tu sangharsh k sihaayi se itihaas likh
rann hai tera khud se, uth ab jaa kar kismat se do do haat kar

©Anoj Singh
  Chander ka Prakash
anojsingh2529

Anoj Singh

New Creator

Chander ka Prakash #Poetry

0 Views