Social Media Justice Kya Sahi ? Kya galat ? Hai na ajeeb sa title but kya kru ajka humari Society mein ye hi sab chal rha hai. Mujhe chot lagi hai mai hospital nahi jaunga phle Social Media pe post kardu Mere Sath kuch Galat hua hai Gharwalo ko ni bataunga Social Media pe post kardu Kisi ka Accident ho gya Video bana k daal deta hu yaar Rape hua #Respect_women karke daldu yaar Khi so Called Society bura na Maan Jaye Kuch udti udti Information aai Itne logo ne share ki hai yaar mai bi kardeta hun Rape hua #All_boys_same ka Tag laga deti hun Ye hi sab to karte hona? to Sahi to hai Social Media hi Ajkal hume Justice dilwa deta hai Kya jarrorat hai kisi Law ki Kisi Judiciary ki etc etc. 2-4log karlete hai Gossips yar aisa hua tha han aisa hua tha ye vo Yaar fir to ladke ki Galti hogi ya fr fir to ladki ki Galti hogi Yaar hote kaun ho tum kisi ko bi Defame karne wale ? Who the Hell are you? Matalab baat ka pata ho na ho Start ho jana kisi ko bi Murderist khdena kisi ko bi Rapiest kh dena kisi k uppar bi kaisa bi ilzam lga dena bada asan hai but kabi socha hai Jisko tum blame krre ho baithke apne so called Social media pe actual mein vo kin kin chezo se Gujar rha hai? Ya tumhe andaja hota hai tumhari Jara si Galati use kis had tak Dipression mein le jaati hai or uske carrier life ko bilkul finish kardeti hai. Ab sab Soch rahe hoge Achank se aj Ye sab kyu? Recently hi maine Ek post phadi that 17year boy jump from 12th floor commit Sucide Vo bi just False accusations ki Vjah se Ek ladki ne Jara si post Daali So called boy ne mere sath 2saal phle Rape karne ki Koshish kari but uske pass koi proof tak ni fir kya So called Fake Feneism wale Fakers ne ladke ko darana dhamakana shuru kiya jis pressure mein usne ye Step liya Jiska mujhe bura Laga So called #tag Wali society kal ko mujhe bi depression mein daal sakti hai kal ko or koi bi ye step utah sakta hai Vo na to mera bhai tha na hi known but Mujhe first time ye phadke bura laga ki fake Spreading ne kisi k ghar ki khushiya kaise chin li yaar vo bi humari vjah se. Kuch log Yha baat karte hai Gender Equality ki Bhai Phle Insan to banjao kuch likes kuch comments k lie hum kisi ko bi blame karne lag jaate hai Bina kuch truth jane Mai So called Fake Feminism ka raiyata failane walo se puchna chaunga apne Imaan ko kya jwab dete ho fir jab truth Samne aata hai Isli hi kha jaata hai har baat k 2pehlu hote hai kisi ko judge kardena kuch minto ye kisi ko right ni mila hai Social Media ki fake spreading se na jane kitne logo ko apni life se give up karna padta hai ye un give up walo ki galti ni hai Ye humari Galti hai jo Bina kuch jane lag jaate hai Sharing pe Or jo ye tumne So called #Tag bana Rakhe hai #Justice #Hindu #Muslim #Isai #black_men etc etc please stop this bullshit Socia media koi Justice platform ni hai bhaut Laws bane hue hai unhe jake apnaya karo vha gyaan jahada karo Equality ka #tag just Gossips ka Adda hai. Humanity or Mentality thik karo Insan Bano Insan ✍Vivek Jain #Social_mediq#insaf🙏