Nojoto: Largest Storytelling Platform

Read atleast one tym....written by me Roz khud ko

Read atleast one tym....written by me

Roz khud ko or behter karne ki koshish kar rahe the
Par kya me such me zindagi ko jee rahe the
Chalo kuch din ghar pe hai to khud se milte hai
Hum aj ek baar khud me khud ko dhundte hai..... 
Subha ki chai jaruri nahi maa ya biwi hi banaye
Chalo aj jaldi uth kar hum unke liye chai  banate hai
Maa ke haath ka khana to barso se kha rahe hai
Chalo aj hum khana banate hai...
Jala hua hi sahi koshish to karte hai 

Apne andar kuch naya dhundte hai....

Ghar ki deeware bhi kab se hume kuch batana chahti hai
Tum late aate ho roz to maa intezar me jagti rehti hai
Khud ko sudharne ki koshish karte hai
Kal tak jo late aate the aaj kal ghar se wo log nikalte hi nhi h
Jarurate puri karte karte kabhi Kabhi ghar makan ban jata hai
Chalo us makan ko fir se ghar banate hai

Dekho bahut jaldi baarish ane wali hai
Ghar ke ass pass gili mitti ki khushbu fir se zindagi mehkane wali h
Chalo is baar fir se baarish me khul kar bheegte hai
Is baarish me sab ke liye chai pakode hum banate hai

Aas pass apne yaar dost nhi h to gharwalo se yaari ho ri h
Ghar me sab ke ludo cards Or carrom ki pari ho ri h
Kaun jeetega pata nhi par harne wala ghar ki safai krega ye baate bhi ho ri h
Lagta hai guzarte hue jo din the wo ab zindagi ho ri h
Chalo fir se baccho, ke saath bacche ban kar khelte h
Apne bachpan se dobara milte hai

Apne andar kuch naya dhundte hai.... try poetry.....