Kitta ajeeb sa mahaul hochuka hai Jahan harr sadak par gadiyon ke horn sunayi dete they unn sadko par sannate ki lehar chayi hai Kya ajeeb khel hai na samay ka jabh jaanwar bich sadak pe baithta tha toh insaan use pathar se bhagata aur aaj vhi insaan sadak parr chall raha ho toh police vale dande barsarahe hai Aaj jaanwar bina insaan ke kauf ke bahar ghum raha hai Aur insaan iss corona mahamari ke darr se ghar may baitha hai... jaha subhe uthte hi college,school,office ya dusre kaamo ki habad dabad thi Aaj koi habad dabad nhi hai kha ghr may baithne se faaltu samjhraha tha zamana aaj use hi samajhdaar bata raha hai jo ghar par baith raha hai....... Abh inn 21 dinn ke curfew se kuch badlaav toh hoga hi na na factory se niklte duhen ka pollution na sadko par bheed Na shorr na sharabba Magar yhi samay hai dosto jabh hum sirf apni nhi apne gharvalo ki jaan bhi bacha sakte hai Kuch jimedariyan toh humari bhi banti hai ghar rehkar hum bhot logon ki jaan bacha sakte hai iss samay Samay ka pahiyaan apni raftaar nhi bhulta acha samay laut ayga.... Bus abhi dheeraj rakhye ..... Ghar may rahe,mask lgaye, sabunn se haath thoye aur social distancing kare #coronavirus be safe by staying at home,using the mask and sanitizer