Murali ki tanon mein hai vairagy ki mithas mor Pankh Karta hai Anurag ka Swatantra aagaaj kamalnayan deti hai Sneh ka ehsas he madan Mohan Gopal pyare Teri Madhur chhavi se milta Anand barambar jab jab mein Hoti Hun Apne dukhon se hatash tab Tera Aasmran hi deta jeene ka Vishwas Tera matki se dahi churana Makhan kha kar vo chhup Jana Yamuna tat par raas Rachana Radha Rani ko jhula jhulana gopiyon ko sada sataana karaata Jag ko Madhur Smriti ka gyan Tera Sudama ko gale lagana Apne Mahal ka mehman banana swayam hi unke pair dhulana Jag mein Karta Anurag ka vistar Teri chhavi mein Anurag basa hai Jo Karta hai sare dukhon ka naas Teri chhavi ka uddeshy yahi hai ho Keval Jag mein Anurag aur Vishwas #nojoto hindi poem #sri #Krishna ki #smriti