Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aaj mera prakriti se baatein karne ka Mann hai Ku

Aaj mera prakriti se baatein karne ka Mann hai
Kuch purane dosto se mulalakate karne ka Mann hai 
Aakash ko pukaarne ka Mann hai
Sher ki tarha dahadne ka Mann hai
Kaliyo ki komalta ko apnane ka Mann hai
Taazi saasein bhar paryavaran ke paas jaane ka Mann hai
Behte Zharno ke neeche nahane ka Mann hai
Panchiyo ki boli gungunane ka Mann hai
Pedo ke chaanv tale so jaane ka Mann hai
Ons ki boondo ki mithaas chakhne ka Mann hai
Sooraj ki kirno ki urja paane ka Mann hai
Kitna kuch muft me rakha hai bhagwaan ne humare liye
Aaj srushti ke vardaan ko jeevan me laane ka mann hai
Aaj iss nisarg ke bhanwar me doob jaane ka mann hain

©girlwithpoemsandprose
  #NatureLove #prakriti #Love