Nojoto: Largest Storytelling Platform

kabhi kabhi lagta hai ki sheher chote hi acche th

kabhi kabhi lagta hai ki 
sheher chote hi acche the.

Na koi showbaazi
Na koi drama
Na kisi ko piche karne ki hodh
Na kisi se aage nikalne ki jaldi

Jo milta ,namaste karta,
Puchta ,aur batao beta kaise ho
Main muskura kar kehti
Main theek hun aunty,aap sunao

Wo kone ke mandir me bajti ghanti
Aarti ki dhun
Aise sukoon deti,jaise maano isse bada nahi hai koi sukh.

Wo daadi ka kehna,ki beta 
Jee lo abi zindagi,
Bad me tarsoge in palon ko.

Aaj bi gali se  nikalta ghanti wala thela
Yaad dilata hai
Wo garmi ki chuttiyon me bhai behen ke sath khayi kulfiyan.

Aaj sardi ki har dhoop
Yaad dilati hai
Oas se bhare malai makhan ki

Har barish yad dilati hai
Wo garma garam pakode aur chai.

Jahan sham hoti,hum nikal jate
Gali mohalle ke bacchon ke sath chupan chupai aur vish amrit khelne.

Har march ka mahina yaad dilata hai
Exam ke dar me bhi,jee khol kar manayi holi ki.
Wo daadi ki gujiya,besan ke laddoo aur mathriyon ki.

Har diwali yaad dilati hai,
Wo bachpan ke kheel khilone aur mitti ki diyaliyon ki.

Har eid pe yaad aati hai,eidgaah ke aage ki bheed aur gale milte bhaiyon ki 
Kya khushboo hoti thi un sevaiyon ki

Kab palak jhapakte hi,hum bade ho gaye!!!!
Kab aage badhne ki race me,hum bade sheher aa gaye!!!!
Na jaane kahan kho gaya wo apnapan
Wo galliyan,wo bachpan.

Ab nahi aati galliyon se awaz ,khelte bacchon ki.

Kabhi lagta hai ki hum bacche hi acche the
Kabhi kabhi lagta hai ki sheher chote hi acche the!!!!
Sheher chote hi acche the!!!! #international_womens_day