Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hai ek shor e buka haaye haaye tanhaai Hai kya nas

Hai ek shor e buka haaye haaye tanhaai
Hai kya naseeb me apne sivaaye tanhaai

Hamei to ye bhi kisi roz chhod jaayegi
Hamaara saath kahaa tak nibhaaye tanhaai

Shabe firaaq me mutthi me bhar ke yaad teri
Ba chashm e surkh hawaa me udaaye tanhaai

Tum aa bhi jaao to jaane ki raah dekhenge
Jo jaao tum to yahaa laut aaye tanhaai

Hamaare ashko ka laasha hai shaam e furqat hai
Ye laash uthaaye to kaise uthaaye tanhaai

Tumhe ye bazm mubaarak ho meri jaanib se
Khuda kare mere hisse me aaye tanhaai

Isey karu nazarandaaz to karu kaise
Sadaaye de ke musalsal bulaaye tanhaai

Ye shehr e dard ki Maani hai Khaasiyat ke yahaa
Kisi bhi jaa chale jaao hai jaa e tanhaai

©Musa Dhorajiwala #Tanhai #Shayar #ghazal #urdu #Shayari #lonely 

#apart