Tadapti dhup me, pasine se hai nhaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Ek waqt ki roti k liye,dinbhar hal chalaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Pairo me pade chale,jo katonse na ghabraya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Kandhe par dhho kar boz,shaktishali kahlaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Patthar todkar jisne,rasta hai bnaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Dard me tha shari, jo uff tak na kah paya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Divaropar kar k karagiri,jisne itihas rachaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Dharti bani chatayi,aasman ko chadar bnaya Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. Sar jhuka kar naman karte hai use Bharat ka beta hai jo majdur kahlaya.. ©Diksha the Poet Beginner #hardwork #worker #majdur