Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mana kisi ki ulfat ke qaabil nahi hu main Par dard

Mana kisi ki ulfat ke qaabil nahi hu main
Par dard mein aansu ro jaye, wo dil nahi hu main

Apne armaan dafn karta bhi hun, to kya?
Gumaan na kar Ae dost! qaatil nahi hu main

Kaun hai aisa, gham se nahi jo aashnaa?
Lakh koi kehta rahe, "bismil nahi hu main"
(bismil - hurt)

Pura haq rakhta hun aazadi mein jeene ka,
Dariya par bandha hua saahil nahi hu main

Tere dard mein ho jaun kaise main shaamil?
Apne hi dard mein jab shaamil nahi hu main

Main kyun dekhu 'Zaif', gharib ko lut'te hue?
Ra'eeson ke darbaar ki mehfil nahi hu main

©Yamit Punetha [Zaif] Mehfil nahi hu main
#MereKhayaal #Zaif

yamitpunethazaif3604

Zᴀɪꜰ

Bronze Star
Growing Creator