Tumhare har ada Andaaz ko mai aaj dekhunga Likha dil ki kaalm se jo sabhi andaz dekhunga Mitane se tumhare ye kabhi ab mit nahi sakta Diwana hun tumhara mai tere jazbaat dekhunga Kaha ki ab kisi ka dil pe mere jor kya hoga Diya jo vaasta maine nibha ke mai bhi dekhunga Tumhare har ada andaz ko mai aaj dekhunga Tere is teer si aankhon ki kaayal hai saji mahfil Chala do teer mujh per bhi bhi Nishana mai bhi dekhunga.. ©Mukesh Mishra Nishana Mai bhi dekhunga...🏹 ❤️✍️🎯