Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ajeeb marhala hai zindagi ka kya kahe! Nazar ke sa

Ajeeb marhala hai zindagi ka kya kahe!
Nazar ke saamne dariya,rooh pyasi hai kya kahe!
Abr barse bhi sehra me...to Sitam dekhiye zara..
tapish bujhti nahi....Badh jati hai vehshat ye kya kahe!
Kuch nazrein betaab si tawajjo mange hai mujhse...
Wazan haya ka zyada hai..Palken uthe na kya kahe!
Saaz-o-saamaan laate h, kadr bhool jate h...
Saudagar mukhatib hai, na kare inkar to kya kahe!
Maana safar lamba hai zindagi ka lekin,
Achche nahi saste musafirkhane kya kahe!
Mukaam wo jaha sukoon aur raahat mehsus ho...
Na paye mukaam to chalte rahiye aur kya kahe!
~Noori #noori

sanatamkeen9065

Sana Tamkeen

New Creator