Jo tune sunaya tha kissa purana, wo bachpan ki baate wo guzra zamana, agar jo ho fursat to itna batana, tha sach ya farebi tha wo bhi fasana wo raato ko jagna wo khamosh takna, mere kaandhe pe tera maatha yu rakhna mere hath me hath ko daal kar fir bina kuch bataye zara sa khisakna agar jo ho fursat to itna batana tha sach ya farebi tha yu paas aana. kyu aankhe mai mundu to tu saamne hai? kyu ab bhi tu hai mere khwaabo pe chhai? hai mumkin nahi tujhko ab bhul pana, mere jism me teri khushboo samai. agar jo ho fursat to itna batana, tha sach ya farebi tha mujhme samana. #bezubaan_l_a_f_z #singh_a_demented_writer