Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ek bachpan ka zamana tha Jisme khushiyon ka khaza

Ek bachpan ka zamana tha 
Jisme khushiyon ka khazana tha,
Chahat chand ko paane ki thi
Par dil titliyon ka deewana tha,


Thak kar aana school se
Fir bhi khelne jana tha,
Baarish mein kaagaz ki naao thi
Har mausam suhana tha,


Rone ki wajah naa thi 
Na hasane ka bahana tha,
Kyun ho gye hum itne bade 
Isse acha toh bachpan ka zamana tha

©Dishant Shukla
  #chai #shinoydavid
#dishantshayari
#dishantshukla