Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kya sach me hum azaad hain Mujhe to nhi lagta, sha

Kya sach me hum azaad hain
Mujhe to nhi lagta, shayad aap hain
Kehte hain desh ki azadi ko 78 saal ho gye!
Aap sirf ek din bataiye jab apka koi der raat
bahar ho aur aap chain se so gye?

Azaadi sirf jhande fehrane aur
deshbhakti ke gaano ko gaane ke liye hi thi?
Ya insab ke upar uth khule asmaan ke neeche
sab ek barabar saans le sake iskeliye.!

Mujhe Darr lgta hai ab hadd se zyada lagne laga hai
Jab mera koi apna sunsaan rasto pe ya akela kahin se guzarta hai
Ye Darr hai aur hum azaadi mana rhe
Hume koi ya hum khud ko bewakuf bana rhe
Ab jab pta chal gya hai ki
Kyun kya kaise hua aur kaun kaun Mila hai
Insaniyat ko taar taar karne me
To mera sawaal sirf ek hai ki
Intezar kiska kar rhe hain hum
Kaat kyun nahin dete??

System se justice dilate dilate ek umar beet jayegi
Tab tak na jane kitno ki aabroo aur kitno ki jaan leli jayegi.

Kuch sazaayein kanoon ke dayre ke bahar rakhiye
Jisne jaisa kiya jiske sath usko unhi ke hawaale kariye
Aisa na ho ki kahin kisi din ya raat apko koi apna
Lakeer ke us paar bina saanso ke leta ho
Aur aap kanoon ke darwaze khat'khate hue thak jaye
Aur kanoon bolta reh jaye ki bas abhi kar ke deta hoon.

©Prakharlikhtehain
  independence day!

independence day! #SAD

99 Views