Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu *"Akhri Ashre Ki Raatou Me Ibadat Ka Schedule"* 1.Iftar Karne K Baad Khana Khaale Aur 8:30Pm Tak Aaraam Karle. 2.Isha 8:30 Pm Ko Padhle Phir 2 Sunnat Ada Karle Uske Baad Taraweeh Padhle Lekin Witr Na Padhe 3.11Pm Se Qur'an Ki Tilawat Shuru Kare Aur Koshish Kare Kum Se Kum 3 Paare Padhne Ki Taake Akhri Ashre Me Ek Qur'an Mukammil Kar Sake. 4.2Am Se Zikr o Azkaar o Isteghfaar Kare Aur Phir Dua Kare Koshish Kare Rokar Dua Karne Ki Aur Jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Batlayi Usko Kasrat Se Padhe. 5.2:45Am Se Tahajjud Padhe Aur Witr Padhe Koshish Kare Qunoot e Witr Me Ache Se Dua Karne Ki. 6.Witr K Baad Dua Zaroor Kare Yahi Waqt Me Dua Ka Khaas Ahtemam Kare Kyu K Ye Akhri Waqt Hota Hai. 7.Saheri Kare Kyu K Saheri Me Barkat Hai. 8.Fajr Ki 2 Sunnat Padhe Phir Farz Ada K Saath 9.Subah K Azkaar Padhkar So Jaye... *Note:-* Ye Routine Akhri K Poore Ashre Me Karne Ki Koshish Kare Kyu K Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Akhri Ashre Me Khub Ibadat Karte The Aur Kum Az Kum 21,23,25,27,29 Ki Raat Ko Zaroor Kare. *Note:-* Taraweeh Aur Tahajjud Ek Hi Hai Dono Me Se Ek Bhi Kaafi Hai Lekin Akhri Waqt Me Padhe Bahtar Hai Aur Dono Bhi Padhi Ja Sakti Hai Wallahu Aalam Aur Dua Me Ummat Ko Zaroor Yaad Rakhe. Jazak Allahu Khair #Success #islamic #ramdaan #PRAY