Nojoto: Largest Storytelling Platform

HOTELIER (Read The Caption) Ek Hotelier

HOTELIER

     (Read The Caption) Ek Hotelier ki zindagi itni bhi Asaan nahi hoti jitni ki dikhti hai.. mai jaanti hun mushqil to bahuto ki zindagi hai par aaj hum hoteliers ke baare me jaanenge. Aur aap sab se guzarish karti hun ki isey pura padhe.
Aapko pata hai ki Kitna hardwork hota hai ek Hotelier k life me? Uske subaah aane ka to ek nishchit samay hota hai, kabhi 6 baje, 7,8,9,10,11 par uske ghar jaane ka koi samay nahi hota. Raat ke 12,1,2,3,4 baj hi jaate hain, khaastaur se lounge bars me. Ye sirf ladko ki problem nahi hai, ladkiyon ko bhi isse jujhna padta hai, der Raat me apne PG ya accommodation tak ka safar khud hi akele tay karna hota hai, aur uski suraksha ka zimmedar vo hotel ya restaurant bilkul bhi nahi hota hai. Agar aap ladki hain aur aapke sath koi durghatna ghatit ho jati hai to uske liye sirf aur sirf aap swayam zimmedar hongi. Ek to aap apna ghar aur shehar chhod kar ek anjaan shehar me naukari karne ke liye aate ho par afsos jaha aap apne din ke sabse zyada ghante bitate ho, vo log aapki suraksha ki zimmedari tak nahi utha sakte.  Aur na hi sarkar iske liye kuch kaayede kanoon banati hai.
 Dusri baat Sabke khane ka ek nischit waqt hota hai par ek Hotelier ke khane ka koi samay nahi, kabhi kabhi to khana tak nahi milta hai aur bhukha hi reh jana padta hai aise me, aur jo khana milta bhi hai, jis quality ka, aap sach me vo khana kabhi bhi na khana chahoge.
Sabhi ko tyoharo ki chhutti milti hai, par ek Hotelier saal ke 365 din kaam karta hai, haan bahut si jagah par hafte me ek din aram diya jata hai Apr har jagah vo bhi nahi milta thik se, aur kisi tyohar pe to chutti mil hi nahi sakti kabhi bhi.. isi tarah saalo guzar jaate hain pariwar ke sath tyohar manaye hue.
Aapko ek din ki chhutti bhi chaiye hoti hai to aapka acche se uska hisaab dena hota hai. Aur agar aap bimar padh gaye to aapki bimari Intezaar kar sakti hai par restaurant/hotel ke grahak nahi.. aapki bimari ki avastha me bhi aapko zabardasti phone kar ke bulaya jata hai, ye keh kar ki staff kam hai aa jao.. aapki bimari aapki personal problem hai.. vo aap hi jaane.
Aap apne kisi bhi chahne wale ko iss industry me kaam karne ka sujhaav nahi denge.. ye industry itni cursed hai... 
#hotelier #hotel #life #hope #yqdidi #nazarbiswas

nazarbiswas3269

Nazar Biswas

New Creator