Nojoto: Largest Storytelling Platform

A Mother's Prayer Kal tak mai kisi ki gudiya thi

A Mother's Prayer   Kal tak mai kisi ki gudiya thi...
Ab meri gudiya mujhe maa bulati hai..
Tere hasi se chehakta hai ab ye ghar aangan 
Tera khushboo ab ye sheher mehkaati hai ...
Teri nischhal si muskan mere jine ka aadhar hai..
Teri aankho ki chamak mere zindagi ko raushan kar jati hai..
Tera Naa hona jaise ek adhura sa Safar tha
 Tera hona mujhe ab meri manjil dikhati hai ..
Baba ki laadli maa ki dulari 
hamari gudiya hamare jivan ki shubh
"Shagun" kehlati hai ..💖

©Jg Varsha #JgVarsha 
#JgVarshaquotes 
#jgvarshagun

#Mother

varshajghadei1296

Jg Varsha

New Creator