usse chahte hai bepnah mann karta hai jaake boldu par dil karta hai mera mai khudko iss baar sambhalu jaanti hu wo kya feel karte hai mere liye wo masti,mazak sab hai sirf hasane k liye haste huye insaan ki jolli me dard kaise daal du? khus rahe wo insaan duwa uske liye bhi maaglu dil karta hai mera mai khudko iss baar sambhalu yuhi hoti rahe dosti mai hazaaro nadaniya bura kabhi na lage ek-duje ko,rhe rabki meherbaniya milana bichhadna waqt k hath me hoga par jab tak hai sath har ek pal ko yaadgar banadu dil karta hai mera mai khudko iss baar sambhalu asaan nai lagta dil ki baat yuh bol pana or muskil bhi lagta hai isse chhupana ajib kasmokas me fasi hui hu mai koi zara batao iss uljan ko kaise suljadu? dil karta hai mera mai khudko iss baar sambhalu dil karta hai