Nojoto: Largest Storytelling Platform

Maa jab saari dunia jeet kar bhookha-peyasa ghar a

Maa jab saari dunia jeet kar bhookha-peyasa ghar aata hai tera beta toh tumhare hath ka khana yaad aata hai, jab baithta hoon main lambi si car ke pichhe aur aage driver hota hai toh yaad aata hai mujhe ke bus ke paise naa hone ki wajah se kabhi-kabhi jab tum paidal mujhe school chhodne jaaya karti thi aur jhoot-mooth hass kar apne pairon ka dard chhupaya karti thi, kal maine apne ghar ke security guard ke hath mein ek mehangi ghadi dekhi toh yaad aaya ke chhote hote huye jab ghadi pehan naa mujhe bahut pasand tha, magar tab waqt sath nahi deta tha, aaj jab dhoop padti hai toh 10 log mere sarr par chhaata kar dete hain, par jo tumhari chhaon mein baat thi wo iss dando aur kapdo mein kahan, aaj mere pairon mein dunia ke sabse mehange jootein hote hain toh jab unki taraf dekhta hoon toh chhote hote mujhe tumne jo paise jodh kar jootein dilaye the aur maine utha kar faink diye the mehaz yeh soch kar ke wo saste hain, yaad aa jaate hain, agar aaj mil jaayein toh sheeshe mein jadwa kar rakh loon unhe kyunki tumne unhe saparsh kiya tha, jab maangta tha koi khilona tumse toh tum paise kamm hone ke bawjood kabhi naa nahi kehti thi, aaj paise hain mere paas, shehar mein khilone hain, magar ab tum nahi dikhti kahin, maine shehar ki har dukaan se mamta lene ki koshish ki, magar yeh nahi bikti kahin.

Cherry Chhatwal