Nojoto: Largest Storytelling Platform

Sakoon Ab hain sakoon se kahin jana toh hai nahi

 Sakoon
Ab hain sakoon se kahin jana toh hai nahi
Hum jaiso ka ab koi thikana toh hai nahi
Tum bhi toh ho guzre waqt ke manind ab
Yaad aana hai tumne ab aana toh hai nahi
Ahad e wafa se kis liye ho ab khafa hum
Karliya hai tumne ahad nibhana toh hai nahi
Jo Aziz hain kaha hain maloom toh hai nahi
Ab kyu puchte ho humne batana toh hai nahi
Ahl e ishq hain kisi per bharosa toh hai nahi
Humne ab tere faraib mai aana toh hai nahi

©Ayaan dehlvi ( A D )
  #Sakoon

#sakoon

741 Views