Nojoto: Largest Storytelling Platform

Baatein Kisi baat ko mehfil sahi mil jae to kya b

Baatein

Kisi baat ko mehfil sahi mil jae to kya baat hai,
Jo keh di jae kahin bhi, to baat woh barbaad hai

In baaton ki paidaishi aur maut ki jagah hai kya?
Chhule ya lag jae dil pe, har jagah jazbaat hai

Ye baatein hoti kum kabhi, jyada kbhi hoti hai kyun?
Jitni ho, ho aisi, woh kehde ki, waah kya baat hai!

Kitni baatein zehan me, milne ke pehle rehti hai,
Milne par mein kehdu jo ek bhi baat, to kya baat hai!

Baatein subah, baatein dinbhar, baaton se hi sham hai,
Baatein band aankhe bhi band, ye sannata hi raat hai

©Prashant Pandey Baatein

#baatein