Nojoto: Largest Storytelling Platform

White Uski Beparwah mizaz ko dekh Jab khamosh ho j

White Uski Beparwah mizaz ko dekh
Jab khamosh ho jaaye Jubaan,
Uski harr baat kured de mann ko,
Per kismat ne jora ho uske sath tumhara naam,
Toh utho, aur badal do takdeer ki wo rekha,
Apne antargyan aur aatma samman ko na karo andekha.
Kis baat ka hai darr tumhe? 
Yeh ki log kya kahenge, 
yaa ki yeh jo tumhe fir koi miley na miley?
Kahte rahenge log sab, per kya jindagi tumhari wo jee lenge?
Samjho! waqt ki yahi toh khubi hai, badalte rahte hain silsile.
Swayam ko tumhe hi jeetna hai,
Aap hi sambhalna aur aage badhna hai,
Ho durr aise rishton se, swawlambi banna hai,
Gir kar kai bar tumhe, apne mukaam ki sidhi chadhna hai.

©aditi chauhan #Mann