Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kaun hai mera shanasa, kaun mujh se aashna Kis ne

Kaun hai mera shanasa, kaun mujh se aashna
Kis ne di aawaz mujh ko mere bhule naam se

Tay kar raha hu rasta mein zindagi ka is tarah
Ke simt bhi hai tay nahi, hu bekhabar anjaam se

Chhalke hai mohabbat un ke naino se aise hi andaz mein
Jaise chhalke hai mae beparwah se ek jaam se 

Kyu na ho shikwa gila mujh ko unki yaad se
Yaad karte to hain woh lekin apne kaam se 

Parwah-e-do-aalam mein woh log kyu ghulne lage
Kat rahi hai zindagi jinki bade aaraam se 

Takraenge bekhauf ho kar waqt ke sayyad se 
Yeh aaj ke parind hain, darte nahi jo daam se 
 It's my second ghazal friends, hope it will be liked. 
Glossary :-
Shanasa, aashna - jaanne pehchanne wale log
Parwah-e-do-aalam - dono aalam ki fikr 
Mae - sharaab
Jaam - pyaala
Sayyad - shikari
Parind - parinde

aveshshaikh1714

Avesh Shaikh

New Creator

It's my second ghazal friends, hope it will be liked. Glossary :- Shanasa, aashna - jaanne pehchanne wale log Parwah-e-do-aalam - dono aalam ki fikr Mae - sharaab Jaam - pyaala Sayyad - shikari Parind - parinde #yqbaba #yqdidi #yqbhaijan #tarhighazal