Nojoto: Largest Storytelling Platform

Zindagi, Safar me guzarti hui, rasto me theherti

Zindagi,

Safar me guzarti hui, rasto me theherti hui, chali jarahi hai,
apno  se jhujhte, gairo ko puchte, ye jawani yunhi dhali jarahi hai,
par zindagi hai ki bas chali jarahi hai.

jo kadam dagmaga rahe the, ab sambhalne lage hai,
Umra jarur dhal rahi hai, par hum nikharne lage hai,
jo kabhi aaina dekhna chod diya tha humne,
aaj bina aine ke hi sawarne lage hai,
Jaha bas durgandh hi tha, waha khusbu sandali aarahi hai,
Aur Zindagi chali jarahi hai.

Aaj hai akele, par sath swabhiman khada hai,
Jeet ke bhi unke khushi k liye har gaye, kya kahe ki hamara dil bada hai,
Ye umra jo barf thi himalaya ki wo ab gali jarahi hai,
Aei Zindagi tu bas chali jarahi hai #nojoto #surajkumar_chaubey