#OpenPoetry Bina btaye chehra padh leti hai Mere liye puri duniya se ladh lete hai Mein shaant ho jaau toh gabra jaati hai Meri haar galti par mujhe pyaaar se smjhati hai Mein giru jaau toh mujhe smbalti hai Behlake fuslaake paalti hai Dukhi ho jaau toh mujhe hasati hai Kahi b ho ek awaaz lagane par chali aati hai Mere pareshaanio ko woh apna maanti hai Khud bhookhi reh kr khaana hm mein baanti hai Woh maa hai ,sb jaanti hai Parivaar ko smbalte hai Har paristithiein khud ko daalti hai Khud ko bhool k mere sapno ko paalti hai Kahi b ho meri fikaar krti hai Mujhe khone se daarti hai Usse khud ki parwah nhi mujhe aankh ka taara maanti hai Kuch b chupau toh jaat se pehchaanti hai Woh maa hai sb jaanti hai Mere liye Zindagi se sangarsh krti hai Mere safltaao k liye duaaye krti hai Ussne dargah b dekhi hai, woh mandir b gyi hai Mere lambi umar k liye usne manaate b ki hai Mein dhoop mein hu toh chaaya bn k aati hai Barish mein mera chaata bn jaati hai Meri galtiyo ki saza ussne paayi hai Raat raat jaag k mujhe padayi krayia hai Usne mere liye parivaar mein sifarishe b laagyi hai Haar naayi cheez mere liye laayi hai Meri unkahi baato ko pehchaan jaati hai Woh maa hi toh sb jaan jaati hai.. #OpenPoetry #Nojoto #NojotoHindi #Love #Poem #Poetry #Shayir