Nojoto: Largest Storytelling Platform

Jeevan ek shangarsh hai ye dharti ek radbhoomi jee

Jeevan ek shangarsh hai
ye dharti ek radbhoomi
jeet mile ya haar mile ladna hai bharpoor
koshish ka tu haanth thamkar
mehnat ki mashalein jala
Dekhta hoga khuda tujhe
Usko apni bandagi dikha
Na jhuka sir kisi ke aage
sacchai ko apna astra bana
chadha pratyancha gaandeev ki
Arjun ki tarah nishana laga
Har yudha tera ladna tujhe hai
Ek roaz yodha ban ke dikha
Na fikr tujhe kuch khone ki
Tu lekar kuch nahi aaya tha
Ek naam diya iss duniya ne
Pehchaan tera saaya tha
Kirdaar tera naya hogaya 
Mgr tu shaks wahi purana tha
Barson lage tujhe samjhane mein
Uss khuda ka tu humsaya tha 
Uss khuda ka tu humsaya tha❤️

©Akiii
  #jeevan ki gaatha
akiii3321370508370

Akiii

Bronze Star
New Creator

#Jeevan ki gaatha #समाज

29,497 Views