Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tere prem ki aandhi mein priye, mera ujada ghar ba

Tere prem ki aandhi mein priye,
mera ujada ghar bas jaaye .
Are kon kahe ik rang mein ranga hoon,
jeevan ne kitne rang lagaye....... .

Man mera kare yahi kalpana 
sabki pyaas bujhakar 
Paani....
 kaise tu apni pyaas bujhaye,
ashru tere chinhit nahi honge 
apne dukh ko kaise tu dikhalaye.........

Pyaar,kalpana meri dil se hoti
tune man ke baan chalaye ,
fir bhi kahun 
chalni mere dil ke lahu se ,Tu chitrakar ban jaaye 
Are kon kahe ik rang mein ranga hoon 
jeevan ne kitne rang lagaye........ 

Aankhon ki bujhti roshni se ,Budha jeevan se takraaye 
Jin palkon pr thi badi kalpana ,
vo ghar ki deewaaron mein chip jaaye 
Hanskar mera krishna, meethi si dhwani bajaye 
kahe ek rang mein kahan ranga tu 
jeevan ne saare rang barsaaye ....
                                                   
                                                                             ............. JB #feather
Tere prem ki aandhi mein priye,
mera ujada ghar bas jaaye .
Are kon kahe ik rang mein ranga hoon,
jeevan ne kitne rang lagaye....... .

Man mera kare yahi kalpana 
sabki pyaas bujhakar 
Paani....
 kaise tu apni pyaas bujhaye,
ashru tere chinhit nahi honge 
apne dukh ko kaise tu dikhalaye.........

Pyaar,kalpana meri dil se hoti
tune man ke baan chalaye ,
fir bhi kahun 
chalni mere dil ke lahu se ,Tu chitrakar ban jaaye 
Are kon kahe ik rang mein ranga hoon 
jeevan ne kitne rang lagaye........ 

Aankhon ki bujhti roshni se ,Budha jeevan se takraaye 
Jin palkon pr thi badi kalpana ,
vo ghar ki deewaaron mein chip jaaye 
Hanskar mera krishna, meethi si dhwani bajaye 
kahe ek rang mein kahan ranga tu 
jeevan ne saare rang barsaaye ....
                                                   
                                                                             ............. JB #feather