Wo doston ki mehfill , ye raatoon mai jaagna , adhi raat ki wo bhooton ki baatein karna, Nahi bhulunga mai , Jab tak hai jaan , jab tak hai jaan. Wo humara gaaliya sun kar hasna , Adhi raat me sir ke ghar k bahar chillana , Nahi bhulunga mai , Jab tak hai jaan , jab tak hai jaan. Ghar ki yaad aane par chadar me ghus kar rona , Fir , Yaaro ka dheere se aakar chutkule suna kar khush karna , Nahi bhulunga mai , Jab tak hai jaan , jab tak hai jaan. Kisi ek ke kaam ke liye sabka jaagna , har chhoti khushi par paarty maangna , ek chocolate ke tukde ko 10 doston me baatna , Nahi bhulunga mai , Jab tak hai jaan , jab tak hai jaan. -SHYAM "HAPPY FRIENDSHIP DAY" #Art #friends