Rukna hi hai toh rukk jaya karo Rooth kar yun sataya na karo Waqt toh mere haath mein nahi Kum se kum tum toh theher jaya karo Teri takleefein alag nahin mujhse Lafzo mein beerukhi tum laaya na karo Mann mein daudte inn bechain khayalon ko Kabhi toh sukoon de jaya karo Laabon se jo bayan na karu pyaar apna, Kabhi toh ae Mehboob dastak de jaya karo Be-zaar lagne lage mohabbat kabhi, Be-fizul ke falsafe sunaya na karo Khauf sa jaag utha hai ab, Yeh rukha vyavhar ab dikhaya na karo Sitamgar lagne laga hai tu ab mujhe, Meri rooh ko yun tadpa ke jaya na karo Band ho jayenge phoolon se saje dwar ab, Patthar ki murat bann jaya na karo #bechaini #yqbaba #yqdidi #yqbhaijan #yoprowrimo