Nojoto: Largest Storytelling Platform

HAY DRUPADI "Hay Drupadi tune bhi na itna peeda

HAY DRUPADI

"Hay Drupadi tune bhi na itna peeda sahi,
Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...
Duryodhar Dushashan toh they saamne,
Magar aaj toh har insaan ke bhes me dhongi hai,
Hay Drupadi tune bhi na itna peeda sahi,
Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(1)
××××××××××××××××××××××××××××××××
Tera cheer haran hua sabha me,
Mera toh vastra har jagah utra hai,
Kewal shakuni ne nirlajati ki baat ki,
Magar aaj toh har aankh me khoon utra hai,

Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(2)
××××××××××××××××××××××××××××××××
Bhishm hua tha peedit aur apmaanit,
Yahan tho Bhishm bhi ismein shaamil hai,
Bane Sri Krishan teri laaj ke rakshak,
Meri saajish me tho bhakshak hi bhakshak shaamil hai,

Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(3)
××××××××××××××××××××××××××××××××
Na thi himmat kisi ki tujhe chhune ki,
Mera toh pratyek ang taar taar hua hai,
Prashn tere vastron ka tha kewal,
Meri toh aatma tak ka balatkaar hua hai,

Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(4)
××××××××××××××××××××××××××××××××
Shakuni ek tha Dushashan ek tha,
Tha sirf ek hi Mahabharat,
Mere liye toh har ek Shakuni hai Dushashan hai,
Har pal hai Mahabharat,
Bheem ka tha tujhe hausla,
Apmaan ka badla zaroor chukayega,
Dekh haye mera durbhagya,
Ye samaaj mujhe dutkar aur dhakkey lagayega,

Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(5)
××××××××××××××××××××××××××××××××
Dekh mera shoshan aur kuposhan,
Teri aatma tak dar jaayegi,
Aur dekh yahan ke Duryodhan aur Dushashan,
Tu kya phir se yahan kabhi laut paayehi,

Jitna mene aaj ki naari me bhogi hai...(6)" Jis samaaj me zasbaato ka qatal sar-e-aam hota ho wanha betiyaa pathar si hojaati hai. Jab unki jiban me laal ,gulaabi, hare rang ki jagha balatkaar, brhun hatya, daheez, ka rang lene lage toh betiyaa pathar si hojaati hai. Aur woh aapni peedaa batane ki kosis karti hai. Aise hi maa behen beti aur naari ki peeda ko mene aape kabita ke madhyam se batane ka payaas kiya hai jinhno ne Drupadi se guhaar lagai.

saradaprasannada2118

✍S_P_D

New Creator