Nojoto: Largest Storytelling Platform

Is bhaag dod bhari Zindagi me peeche reh gya hai k

Is bhaag dod bhari Zindagi me peeche reh gya hai koi..."Zara dekhoon to sahi"!
Kya koi Apna tha Jo saath tha, Ya Anjaan tha wo koi?...!

Shayad bachpan tha Athkheliyaan karta... "Zara dekhoon to Sahi"! Ya Jawani ka dor hai aahein bharta?..!

Koi Nazarein Gadaaye baitha hai dar pe... "Zara dekhoon to sahi"!
Kahin wo Maa to nahi?..!

Koi Aas lagaye baitha hai Ghar pe... "Zara dekhoon to sahi"! Kahin wo Pita to nahi?...!

Ghor andhera hai yahan,  Par Diwaar pe kisi ka Saaya hai... "Zara dekhoon to sahi"! Shayad koi Milne aaya hai?..!

Ik dost Jo rooth gya tha Kal, manane ki koshish to karun use...  "Zara dekhoon to sahi"! Kahin wo bhool to nahi gya mujhe?...!

Is haste hue chehre ke peeche koi dard chupa Sa lagta hai..."Zara dekhoon to sahi"!  Kyon ye Roz antraman mujhe kuch kehta hai?..!

Kaafi chal liya safar me, na Jaane kyon rukne ko jee karta hai? "Zara dekhoon to sahi"!  Kyun ye man ab badne se darta hai?..! #Walk_on_the_way #Zara dekhoon to sahi