Nojoto: Largest Storytelling Platform

Zindegike bhag daurme sochna kabhi fursaatse, Iss

Zindegike bhag daurme sochna kabhi fursaatse,
Iss bhag daurke chakkarme,
Jeet haarke bawandarme...
Kitne sachche insaan aur rishte gawaye tumne,
Bas chand jhutey baatonko biswas karke,
Sache insaanke jazbaatko bhi thokkar mare.
Sach bohut dino taq chupta to nehi hai,
Aj nehi to kal sachko samne to aana hai.
Ab hum thak chuke hain aise jhagarte jhagarte,
Tumhe kya chahiye humse akhir tum kyun nehi  batate?
Aggar tumne socha hai ke,
Aisehi rishteyko khatam karna hai.
To phir yeh bhi bata dena zara...
Sachme kya tumne khatam karne me kuch baki rkaha hai?
Kya gaironke jhutey baatonko sachcha manke,
Sach jhutka parakh na karke,
Rishtey torlena hi wafa hai tumhari??
Aur sacha pyar deke, zaleel hoke bhi,
 Tumhari nazronme hum 
Gunehgar aur bewafa hai aggar...
To manzur hai humeh bhi yeh bewafai.
Shukriya mere zindegime aake...
 Mujhe yeh sikhane ke liye,
Chahe kuch bhi karlo waqt kharab hoto
logonka pyar bhi hai badal jate.

©NR (Dilki baatein shabdonme...)
  #BehtaLamha#monabi