Nojoto: Largest Storytelling Platform

MAIN KHUD SE PYAR KARTI HOON Han main khud se pyar

MAIN KHUD SE PYAR KARTI HOON
Han main khud se pyar karti hoon
Main jaisi bhi hoon bohot khush hoon
Magn rehti hoon main apne aap mein
Jaruri hai ye ke aap khud se pyar kare
Samajna chahiye pehle hume khud ko
Agar chahe ki koi hume samje
Meri aankhein hai meri aantarik aatma ka ekmatra pratibimb
Main dikhti hoon jaisi bhi waisi hi khud ko acchi lagti hoon
Honi chahiye humari soch khubsurat 
Bahari khubsurti to cheez hi kya hai
Nahi pehenti main koi mukouta apne chehre pe
Main jo bhi hoon waise hi sab ke saamne rehna chahti hoon
Banati hoon apni pehchan khud hi
Sifarish ka mere paas koi mol nahi
Jiti hoon apni zindagi apne usulo pe
Kisi ki parchai mein rehne ka mujhe shaukh nahi
Baatein jo bhi karti hoon sidhe shabdo mein karti hoon
Ghuma phira kar baatein karne mein dil chaspi nahi rakhti hoon # Main khud se pyar karti hoon