Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dil to kabse dadhak Raha tha is jism ke andar maga

Dil to kabse dadhak Raha tha is jism ke andar
magar har dadhkan ka Ehsaan tere
aane ke Baad seekha hai meine .
Khush to mein pehle bhi bohat thi magar 
Khushiyon ka ehsaas tere aane
ke Baad seekha hai meine.
Hazaron gham to kaid rehte thy pehle bhi
is Dil ke andar 
magar in ghamon Ko  bantna tere aane
ke Baad seekha hai meine.
Khamoosh to mein pehle bhi rehti thi magar
In Khamoshiyan main chupey alfaaz keh Jaana 
tere aane ke Baad seekha hai meine. 
Zinda to mein kabse thi magar 
Jeena tere aane ke Baad seekha hai meine.