Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ya Rabb tujhe bakhubi meri har khabar hai, Mushqil

Ya Rabb tujhe bakhubi meri har khabar hai,
Mushqil me meri Jaan Hai or mera ye ghar hai,
Gunahon se labrez hai meri ye zindagi
Dil daag daag, amal siyah, Khub tar hai.
Gaflat me guzaar di maine ye zindagi, 
Pachtava hai abhi or abhi khuub Asar hai. 
Has has ke maine bewajah ye din guzar kiye, 
Ro ro ke ab ye aankh aansuo se tar hai. 
Ab mai badal sakta nahi maazi ko aye khuda, 
Tu hi dikha de raasta tu mera qamar hai. 
Bimaariya, qarze or Musibat ko taal de, 
Barkat pe teri rehmato pe, meri nazar hai. 
Kya kuch na diya tune aye maalik mujhe yaha, 
Barbaad kar diya maine kuch bhi na khabar hai. 
Maa baap ab nahi bache ab ho gaya yateem
Meri khabar le meri dua be Asar hai. 
Dene pe tu qaadir hai or azmat teri badi, 
Daste sawaal pe yaqeenan tu baa-khabar hai. 

 #yqbaba #yqtales #yqlife #yqbhaijaan #yqkhuda #yqdua #yqquotes #yqdiary

kaderistore9761

Abid

New Creator