Nojoto: Largest Storytelling Platform

Bachpan Ki Woh Shararti Yaadein Aaj Bhi, Sabhi Ke

Bachpan Ki Woh Shararti Yaadein 
Aaj Bhi, Sabhi Ke Zehen Me Basi Hai....
Aur Unhe Yaad Kar... 
Aaj Bhi, Unn Lamho Ko Ji Liya Kartein Hain... 

 Aaj 14 November Hai...  Nehru ji Ka Janmdin bhi Hai...  Aur Children's Day bhi. 

Yaar....  Bachpan Itna Masti me Guzra hai...  Ki Aaj bhi usko yaad Karun toh Mann me wahi Masti machalne lagti...  Bachpan me sabhi Shararatein karte hain...  Obviously Maine bhi ki hai yaar...  Woh padosiyon ke garden se Phul churana.... Lakdiyon aur pattharon se aam todna...  Bina kisi ke parwa kiye tapori wale dance karna.... Bhuk Lage Toh Gande haaton se hi Khana kha Lena.... Humare fake wale ghar me Khana banana..... Apne kirdar Badal lena...  Kabhi teacher,  kabhi doctor... Kabhi beauticianist toh kabhi police.. Apne gang ke Saath... Har woh game khelna,  Jahan rules banate bhi hum the...  Aur todte bhi hum hi the..... Pura din Mitti Aur dhup me Khel Kar aane Baad raat ko Tom and Jerry dekhlena...  Aur phir Befikar Soo jana...  

Yaar Bachpan ek hi stage hai life me jo Hume khul ke jeene ki Aazadi deta hai... Tab Kya din,  Kya raat... Na Mazhab dekhte,  Na rang... Bass sabse Dosti kar Lete...  

Aaj aap sab se ek request hai...  Thodi der ke liye apne bachpan ke Lamho ko yaad karlein...  Aur dil khush na hua Toh batana Mujhe...  Aur Han atlisst Bachpan ki ek yaad mujhse bhi share kar Lena...  Okk?? 😁

prita5788295119525

Prita

New Creator

Aaj 14 November Hai... Nehru ji Ka Janmdin bhi Hai... Aur Children's Day bhi. Yaar.... Bachpan Itna Masti me Guzra hai... Ki Aaj bhi usko yaad Karun toh Mann me wahi Masti machalne lagti... Bachpan me sabhi Shararatein karte hain... Obviously Maine bhi ki hai yaar... Woh padosiyon ke garden se Phul churana.... Lakdiyon aur pattharon se aam todna... Bina kisi ke parwa kiye tapori wale dance karna.... Bhuk Lage Toh Gande haaton se hi Khana kha Lena.... Humare fake wale ghar me Khana banana..... Apne kirdar Badal lena... Kabhi teacher, kabhi doctor... Kabhi beauticianist toh kabhi police.. Apne gang ke Saath... Har woh game khelna, Jahan rules banate bhi hum the... Aur todte bhi hum hi the..... Pura din Mitti Aur dhup me Khel Kar aane Baad raat ko Tom and Jerry dekhlena... Aur phir Befikar Soo jana... Yaar Bachpan ek hi stage hai life me jo Hume khul ke jeene ki Aazadi deta hai... Tab Kya din, Kya raat... Na Mazhab dekhte, Na rang... Bass sabse Dosti kar Lete... Aaj aap sab se ek request hai... Thodi der ke liye apne bachpan ke Lamho ko yaad karlein... Aur dil khush na hua Toh batana Mujhe... Aur Han atlisst Bachpan ki ek yaad mujhse bhi share kar Lena... Okk?? 😁 #Childhood #yaadein #yqhindi #yqquotes