Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tasawwur makke ka Madeene ki aarzu karte hai.. g

Tasawwur makke ka 
Madeene ki aarzu karte hai..
 gunaho ki mafi ko sajde me girte hai..
Ye duniya sirf bahkawa hai momino..
Chalo aakhirat ki ab taiyyari karte hai..
Fazr ki namaz me so rhe ho momino..
Kyu ye apni jawani ko tabah karte hai..
Ab zohar me kaam ka tum
 silsila chodo..
Chalo ab allah ki bargah me chalte hai..
Asar hui to mashgool the buraiyo me..
Ab mafi ki talab allah se karte hai..
Maghrib aate aate ghar jane ki thi jaldi...
Kucch der chal masjid me ibadat karte hai..
Isha me toot kar badan tha chaknachoor...
Thodi der aur himmat kar allah se dua krte hai..
Shayad ho akhiri raat ye ,ya lamha ho akhiri..
Ro ro kr allah ki rah me khud ko bezar karte hai.. rah e deen