Na karta shero shayri wo ek din ki bat thi tuta tha dil mera aur kalam mere pas thi likh diya sab kuch jo dil me tha pada uske bad se hi pyaar ke katghare me hoo khada wo kahti hai mujhe koi hak nai apne tute dil ko ek shayar banane ka uske bina koi sapna sajane ka wo kahti hai wait kar tu abhi se milne ka na sahi par waqt aayega tere janaje ka mera kalam uthana use na gawara tha uske liye mai ab bhi gareeb aawara tha nai chahti wo mai bhi naam kamau taki wo bhi autograph ke liye use na lambi line me lagau