Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ishq aesi nayab beemari hai Jo ho jaye to phir daw

Ishq aesi nayab beemari hai
Jo ho jaye to phir dawa kaam nahi aati 
Na kaam aate hain dargah na duaen kaam aati hain
Sambhal ke rehna zra,ae mere dost
Is beemari ki lapten itni tez hoti hain
Na isme hawa kaam aati hai na hi paani kuch kar pati hai
Doobey hain jitne is ishq mein
Kinara kisi ko na mil paya hai
Jo bhi fasa is ishq ke bawandar mein
Paar koi na lag paya hai
Mareez-e-ishq bhi badi kamaal ki cheez hai
Sabhi ko pta hai is marz ki koi dawa nahi
Phir bhi na jane kyun logon ko is marz ke liye
pagal sa hota paya hai

©अफज़ल mareez-e-ishq

#Goodevening