Nojoto: Largest Storytelling Platform

Zindagi rula deti hai..... Aasmaan bhi roya tha j

Zindagi rula deti hai.....

Aasmaan bhi roya tha jabh,
Humne uss sitare ko khoya tha.
Jabh usski dadhkan uski saanse chal rahi thi,
Tabh kyu use akele chodha tha.
Jabh thi usko jaroorat tumhari,
Kyu use piche kiya tha.
Sapne toh aankhon may liye rehta tha,
Apni muskurahat may dard liye baitha tha.
Khilkhilate chehre pe dard ke aansoon liye sota tha,
Zindagi jina kuch cheh mahino se bhulgya tha.
Naadan sa parinda patna se Mumbai apne sapne sajone aya tha,
Filmy duniya may apna naam bnaye aya tha.
Bhot dard jhupaye honge ussne,
Jo bina kuch kahe hum sabhko bhot kuch bolgaya.
Haste chehre ke piche roya toh bahut hoga voh,
Magar kise apna dard bata sake aisa koi use na mila.
Mann may dard ke sath sach tha,
Magar bahar ik pyari si muskan ke sath khushi.
Izzat bhot thi uske mann may sabhke liye,
Magar use izzat dena vala koi nahi.
Aise jindadil insaan ko humne khoya hai,
Jiski kabhi koi jagah na le payga.
Kya biti hogi unn behno par jinke iklaute bhai ne,
Fansi lagake khudkhushi karli.
Kya biti hogi uss pitah par jiss bacche ko ussne kal chalna sikhaya,
Aaj ussi bacche ko panch tatv may villin karna tha.
Abh aisi duniya may chala gya voh,
Jahan uske aansoon pochne uski Maa baithi hai.
Usko gale se lagake apne aanchal may chupane,
Duniya ki sari shikayat sunne uski Maa baithi hai.
Shushant Singh Rajput Sir aap toh chale gaye,
Magar hum sabhko apni yaadein degye.
Aur Filmy duniya ke dogale roop se,
Hume ruburu Karagaye.
                                –Ashwanika Singh #SushantSinghRajput 
#youwillbemissedsir
#loveyouforeverSir
#ripshushantsinghrajput
#ripshushant