Ji haan! sahi samjha telephone aur smartphone dono ka janam ek alag he daur mein hua hain aur dono ne apne apne time mein dhoom machayi hain . Agar baat kare telephone ki toh 90s mein isne har dil pe raaz kiya hain aur ho bhi kyun na kyunki woh din he the bohot khaas jab hum baari baari se baat karne ka intezaar karte the aur telephone ki tring tring awaaz sunkar mano har kisi ke chehre pe khushi aa jaati thi, agar kisi ke ghar mein naya telephone aaya ho toh padosiyon ki bhi line lag jaati thi apno se baat karne ke liye toh aisa guzara hamara 90s ka badiya waqt telephone ke saath.. ab toh smartphone ko leke mano har koi smart ban gaya hain ye smartphone ko aap kahi bhi apne saath le ja sakte ho aakhir ye apko smart jo banata hain. Apko inme se kiski kahani jyada achi lagi telephone/ smartphone ©Akanksha Joshi #ThenandNow