Kehne ko main zinda hu, par sach pucho sharminda hu | 135 krod ke mele main, aaj bhi behad akela hu | Ye sehar aaj kyu badla sa hain| Kyu bheed main bhi akela hu | Kal tak to Ye tha khush mujhse | Kyu, Aaj ek raat ka bela hu | Par aisa kyu hua ?| Main Bhi to iska kissa hu | Main bhi to iska hissa hu | Main kal tak iski kahani tha| Kaiyon ke liye jubani tha | Fir kyu aaj, haath chudata hain | Mujhko ab gair btata hai | Is sehar ko mene, apna mana tha | Isne meri khoon psine ko pehchana tha | Kuch yar mile the, kuch riste bane the, kai saal se yahi par atka tha | Ha bhtka tha, kuch der sahi, Par jaan isi main atka tha | Wo sehar mera, aaj maun hain kyu ? Mujhe bhgane par, ab jor hain kyu ? Do waqt ki roti mangi thi | Us par, aaj itna shorr hain kyu ? Ab baat mujhe ye khaltaa hain| Ae sehar tu kitnaaa paltaa hain | Kehne ko main zinda hu, par sach pucho sharminda hu | 135 krod ke mele main, aaj bhi behad akela hu | #commonman Kehne ko main zinda hu, par sach pucho sharminda hu | 135 krod ke mele main, aaj bhi behad akela hu | Ye sehar aaj kyu badla sa hain| Kyu bheed main bhi akela hu | Kal tak to Ye tha khush mujhse | Kyu, Aaj ek raat ka bela hu |