Nojoto: Largest Storytelling Platform

Thodi ajeeb thi wo phir bhi Dil ko bhaaya karti th

Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Din me rahti thi chup chup si
Aur shaam mein gaaya karti thi
Ghanto takti aasmaan ko jaise 
Chand se shart lagaya karti thi
Pani rakhti koyal ko lekin
Bulbul pe chillaya karti thi
Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Kiyaariyon se rishta tha gehra 
Der tak unhe sajaya karti thi 
Barish ho, sardi ho , ho ya patjhad
Wo phool chun laaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Kangan tha ek kaala dhaaga
Aur payal me ek ghunghru tha 
Na jane kya soch magar wo
Use hi chhankaya karti thi 
Thodi ajeeb thi phir bhi 
Dil ko bhaaya karti thi
Ziddi thi hadd darje ki 
baat apni manwaya karti thi
Maanti nhi thi kuch bhi kehna
Par sbko samjhaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Sardi mein thi kabhi dhoop ke jaise
Aur kabhi baadal ban jaya karti thi
Duniya ke sab rang the usme 
Sab me janch jaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi 
Dil ko bhaaya karti thi
 Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Din me rahti thi chup chup si
Aur shaam mein gaaya karti thi
Ghanto takti aasmaan ko jaise 
Chand se shart lagaya karti thi
Pani rakhti koyal ko lekin
Bulbul pe chillaya karti thi
Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Din me rahti thi chup chup si
Aur shaam mein gaaya karti thi
Ghanto takti aasmaan ko jaise 
Chand se shart lagaya karti thi
Pani rakhti koyal ko lekin
Bulbul pe chillaya karti thi
Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Kiyaariyon se rishta tha gehra 
Der tak unhe sajaya karti thi 
Barish ho, sardi ho , ho ya patjhad
Wo phool chun laaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Kangan tha ek kaala dhaaga
Aur payal me ek ghunghru tha 
Na jane kya soch magar wo
Use hi chhankaya karti thi 
Thodi ajeeb thi phir bhi 
Dil ko bhaaya karti thi
Ziddi thi hadd darje ki 
baat apni manwaya karti thi
Maanti nhi thi kuch bhi kehna
Par sbko samjhaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Sardi mein thi kabhi dhoop ke jaise
Aur kabhi baadal ban jaya karti thi
Duniya ke sab rang the usme 
Sab me janch jaya karti thi
Thodi ajeeb thi phir bhi 
Dil ko bhaaya karti thi
 Thodi ajeeb thi wo phir bhi
Dil ko bhaaya karti thi
Din me rahti thi chup chup si
Aur shaam mein gaaya karti thi
Ghanto takti aasmaan ko jaise 
Chand se shart lagaya karti thi
Pani rakhti koyal ko lekin
Bulbul pe chillaya karti thi