Nojoto: Largest Storytelling Platform

Abhi shakh mein khili thi phool ban kar tumne tod

Abhi shakh mein khili thi phool ban kar
 tumne toda behshi Darinda ban kar. 
Karna chahti thi roshan Jiwan apni khushboo se 
Tumne nichoda aur ronda mujhko apne peiro se. 
Kya tha mera kasoor mujhe batao 
mere Muh se
Awaz bhi na aane di mujhe Bachao. 
Chhod diya Ghane ban mein Zakhmi kar ke
Main wahi par padi rahi bejan lash ban ke. 
Meri chikhein pahuchi hongi Asman tak
Tumhare dil mein aai na daya hosh na khoya jab tak. Damini 16 December night
#Nojoto #poetry #Damini #SixteenDecamber #night #kalakash