#PulwamaAttack Pulwama may hue they shahid voh Humare chavalees Jawaan Jaha ik taraf tha din mohabbat ka Uss dinn chall raha tha dimaag atankvadiyon ka Kardia tha humla mere watan ke Jawano par Ro baitha tha aansmaan bhi sir jhukaye Jabh ayi thi khabar mere Jawano ki Mohabbat ka din laal se kaala bna diya Tha unn atankiyon ne Kahin Maa ke aansuon ka shor tha Kahin tha Pitah ka dard Kahin tha behen ka bhai ko awaaj lagana Kahin tha bachhon ka apne pitah ko ghr bulana Kahin thi patni ki cheeken Harr jagah tha dard ka keher Kahin tha gusse ka shor sharaba Kahin tha afsos unn shahidon ka watan ko chordjane ka Watan se thi mohabbat unn jawano ko Khayi hogi kasam unhone jabh kardi zindagi Kurbaan unhone mohabbat ke dinn Watan pe marte they issliye hi toh vo Watan ke liye hi jite they... ©Ashwanika Singh Pulwama Attack 14/02/2019