Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kahin sapane se na uth jaun, iska malal inhe bhi h

Kahin sapane se na uth jaun, iska malal inhe bhi hai,
Sochata hu ki ye dhadkane aaj itne shant kyon hai,
Khamosh adhar, dida-e- tar, aaj beasar jaam bhi hai,
Adhuri shilwate bejubaan si padi, karwate bhi itni bejaar kyon hai,  Kahin...
Magmoon mahfeelein, haira wadiaan, gulshan aaj bejaan bhi hai,
Tamm k badal, berang hawein, ye urr aaj mashaan kyon hai, Kahin...
Na bekhabar hai fizayein , khabar is jahan ko bhi hai,
In chandani raaton me , chakor aaj gumnam kyon hai, Kahin..
Pahar do-pahar wo zindagi kya guzari hai,
Aab pahar, do-pahar chalane me ye saasein pareshan kyon h, Kahin...

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)
  # Kahin sapane se# untold story # unseen love # true love

# Kahin sapane se# untold story # unseen love # true love

27 Views