Nojoto: Largest Storytelling Platform

Shayar hona asaan hai kya? Apne ehsaason ko, Lafzo

Shayar hona asaan hai kya?
Apne ehsaason ko,
Lafzon sang tolti hu main,
Apne Mann ke ek hisse ko nikal kar,
Panno par rakhti hu main,
Dil ki saari baaton ko,
Chand panktiyon mein likhti hu main,
Kore kagaz ko,
Jazbaaton ke rang se bharti hu main,
Dil ki pukaar sun,
Unhe samjhti hu main,
Jazbaaton ka sheher banati hu main,
Bolo....
Shayar hona asaan hai kya?
Dil ke khayalon ko,
Dimag ke lafzon se milana,
Asaan hai kya?

©Muskaan Srivastava Shayar hona asaan hai kya?

#Books #nojato #nojatohindi #poetry #Shayar
Shayar hona asaan hai kya?
Apne ehsaason ko,
Lafzon sang tolti hu main,
Apne Mann ke ek hisse ko nikal kar,
Panno par rakhti hu main,
Dil ki saari baaton ko,
Chand panktiyon mein likhti hu main,
Kore kagaz ko,
Jazbaaton ke rang se bharti hu main,
Dil ki pukaar sun,
Unhe samjhti hu main,
Jazbaaton ka sheher banati hu main,
Bolo....
Shayar hona asaan hai kya?
Dil ke khayalon ko,
Dimag ke lafzon se milana,
Asaan hai kya?

©Muskaan Srivastava Shayar hona asaan hai kya?

#Books #nojato #nojatohindi #poetry #Shayar