Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hai pana tujhe kai daffa, aur khounga tujhe ye bhi

Hai pana tujhe kai daffa, aur khounga tujhe ye bhi toh hona hi hai.

Jiss tarah har thandi raat me thithurtey hue har pakshi ko subha ka hota hai intezar , Vaisa hi kuch tere na hone par hota hai mera haal.

Jaise un pakshiyo ke liye suraj ki pehli kiran hoti hai sukun ka ehsas ki aab saab theek hoga,
 Vaise hi tere aane par, tere hone par mehssus hota hai mujhe.

jaise khule aasman ke neeche suraj ki narm kirno taale, un halke halke thande hava ke jhoko par vo khuli udan , ha vahi ehsas hai tu.

Tu aaj yaha maujood hai, ha malum hai mujhe ki shayad kal ye kismatey na hongi , isliye tujhe aaj jena hai, tere chake jane ke baad vo kali khamosh raat , sitaro ke taale hogi meri chand se ye baat,
ki kya khub they vo ehsas,
ki kya khub they vo ehsas.

©Chahat Bobade
  #GoldenHour "EHSAS" by chahat

#GoldenHour "EHSAS" by chahat

126 Views