White Naa jaane kyu ek alag sa ehsaas h Jo kabhi na tha par ab mere paas h Dil bechain h be-sabab machalta Dhadkano ka shor bhi ab zyada h chalta Saans tham si jaati h samajh nahi aata Yeh jazbaat h ya koi naya fasana h bata...? Nazdeek bhi nahi fir bhi kareeb lagta h Kya ye pyaar h ya sirf ek ajeeb ehsaas h...? Anjaani si dor h jo kheech rahi h mujhe Uski ek awaaz bhi mehsoos ho rahi h mujhe Par yeh jo bhi h sach h ya sapna Dil keh raha h ye ehsaas h apna.... ©the_poetic_soul.09 #moon_day